REPUBLIC DAY POEM IN HINDI
Jeena kya apne badan ke liye,
jiyen to jiyen bas watan ke liye.
bhale rori, kapdaa, makaan na mile,
koi aasra bhi yahaan na mile,
mile chir bhi na kafan ke liye,
na do gaz jameen bhi dafan ke liye,
jiyein to jiyein bas watan ke liye.
Kahin ek pal bhi sukoon na mile,
magar dil ka jajbaan janoon na hile,
karen har jatan bas aman ke liye,
aankhon ke taare chaman ke liye,
jiyein to jiyein bas watan ke liye.
Kare laakh koi jatan todne ka,
nahin kaam karana watan chhodne ka,
na sachche na jhoothe swapn ke liye,
na tan-man, na dhan ke sukhan ke liye,
jiyein to jiyein bas watan ke liye.
Khauf se dushmano ke darna nahin,
haarkar paanv ko pichhe dharna nahin,
paawan chita ki agan ke liye,
kaat lena sir unka hawan ke liye.
jiyein to jiyein bas watan ke liye.
Tirange ka sammaan aabaad rakhna,
sabase hai pahale watan yad rakhna,
tirange ko kewal vandan ke liye,
jhuke sir sada hi naman ke liye.
jiyein to jiyein bas watan ke liye.